blogger par publish post ka url kaise change kare?

Hello friends ! agar aap bhi blogging ke shaukeen hai to aapko blogging ki sari jankari honi chaiye to shuruaat karte hai aaj ke topic ki blogger par publish post ka url kaise change kare?

post url kaise change kare?
Blogger

blogger par publish post ka url kaise change kare?

Blogger par aap kadi mehnat se ek post likhte hai jisme aap kai prakar ki information dete ho aur aap post seo karne me koi kasar nahi chodte ho prantu kahi bhi ek mistake hoti hai to hamari post seo nahi ho pati jisme se ek problem hai blogger par publish post ka url kaise change kare? dosto aap ko bata du ki post ka Permalink (url) bna rahe article se milna chaiye jo ki apki post seo friendly banata hai so friends aapko pata hai post ka url kyu change karna chaiye hai? agar nahi to is article ko dhyan se padhe 

Note :- post ka permalink hmesha custom karke edit jarur kare

Blogger post ka url change kyu krna chaiye?

Ab baat aati hai ki hame post ka url change kyu karni chaiye to iska bhi ek aehm karan hai ki blogger me kabhi kabar permalink automatic kuch bhi words ko milakar url bana lete hai jisse hamari post rank nahi kar pati isliye hamesha permalink custom karke edit kare 
ab aapko me step to step samjaunga ki blogger par publish post ka url kaise change kare?

👉 Step 1:- 

Sabse Phle apne Blog ke Dashboard par jaye ab aapko us post ko select karna  hai jiska aap ko url change karna hai fir edit par click kare uske baad aap ki post open ho  jayegi.



post ka url kaise change kare?
Blogger post
👉 Step 2 :-  



Ab aapke samne post open hogi jisme post ko revert to draft  par click karna hai. aapko pata hai post ko revert to draft kyu kiya jata hai? iska use isliye kiya jata hai kyuki post ko revert kiye bina edit nahi kiya ja sakta hai. so post ko revert to draft jrur kare.


post ka url kaise change kare?
Revert draft
👉 step 3 :-


Ab aapko permalink par click karna hai friends jaise ki maine bataya tha ki permalink me two types ke option hote hai 1.automatic permalink 2. Custom permalink
jisme aapko custom me jakar old url remove kar ke naya url banaye fir post ko publish kar de.


post ka url kaise change kare?
Custom permalink

Note :- custom permalink ko article ke topic se milte julte banaye

to friends is tarah aap blogger par publish post ka url change kar sakte ho agar aapko isme kuch bhi problem hai to comment jarur kare

yeh bhi padhe :-

Post a Comment

Please comment if u like the post

Previous Post Next Post